Meri Sari Umer Ko Be Samar Us Ne Kiya Munir Niazi Urdu Sad Poetry
Meri Sari Umer Ko Be Samar Us Ne Kiya Munir Niazi Urdu Sad Poetry |
میری ساری زندگی
کو بے ثمر اُس نے کیا
میری ساری زندگی کو بے ثمر اُس نے کیا
عمر میری تھی مگر اِس کو بسر اُس نے کیا
میں بہت کمزور تھا اِس ملک میں ہجرت کے بعد
پر مُجھے اَس ملک میں کمزور تر اُس نے کیا
راہبر میرا بنا گمراہ کرنے کے لئے
مجھ کو سیدھے راستے سے در بدر اُس نے کیا
شہر میں وہ معتبر میری گواہی سے ہوا
پر مجھے اِس شہر میں نا معتبر اُس نے کیا
شہر کو برباد کر کے رکھ دیا اُس نے مُنیرؔ
شہر پر یہ ظلم میرے نام پر اُس نے کیا
مُنیرؔ نیازی
Meri sari zindagi ko be samar us ne kiya
Umer merit hi magar us ko basar us ne kiya
Main buhat kamzoor tha us mulk mein hijrat k baad
Par mujhe is mulk mein kamzoor tar us ne kiya
Rahbar mere bana gumrah karne k liye
Mujh ko seedhey rastey se darbadar us ne kiya
Sheher mein who mohtabar meri gawahi se hua
Pr mujhe is sheher mein na mohtabar us ne kiya
Sheher ko barbad kar k rakh diya us ne “MUNIR”
Sheher par yeh zulm mere naam pr us ne kiya
MUNIR NIAZI
FOR MORE |